Ye meri inovetive healthy fusion recipe hai jo shrdiyo ke liye best combination hai ? ❤️

#Kalakand_A_Shahi_Gajer_Halwa

#sweets
By Neelam Gupta

Dec, 30th

587

Servings
4 persons
Cook Time
45 minutes
Ingredients
7 - 9

Ingredients

  • 1liter milk
  • 250 gm Gajer 🥕
  • 4tbsp desi ghee
  • 1cup suger
  • 4/5 green Elaychi
  • 2tbsp tutti frutti
  • 4/5 Tulsi leaves
  • 4/5 cloves
  • 1 lemon 🍋 juice

Instructions

  • ❤️❤️ Shahi Gajer 🥕 Halwa ke liye ✍🏻...... sbse pahle hm Gajer ko acche se dho ke skin ko hata lenge fir usse kadducus se barik ghees lenge . Fir ek pan me 2tbsp ghee daalke gajer ko low flame pe cover ker denge. jb Gajer soft ho jaaye to green Elaychi aur suger as per taste daalke cover ker denge . 15/20 min me Gajer ke saare ingredients dissolved ho jaane per high flame pe continuously chalate huye halwe ko thick kr side me thanda hone ke liye rakh denge . ❤️❤️ Kalakand banane ke liye ✍️✍️✍️ Sbse pahle hm 1 liter dhoodh ko 500/500gm me divide ker lenge . ❤️❤️chena banane ke liye ✍🏻✍🏻 500gm milk ko ek boil aane denge . Fir 1lemon 🍋 juice ko daalke dhoodh ko fatne tak continuously chalate rhenge . fir kisi strainer ya channi me paneer ko daalke acche se 3/4 baar thande paani se dho lenge . ❤️❤️Mawa banane ke liye ✍🏻✍🏻 500 gm milk 🍶 ko high flame pe boiled kerenge. Aur Thick hone tak continuously chalate rhenge taki vo bottom pe na chipke . Last me suger , Elaychi powder , panneer saare ingredients ko mix karte huye low flame pe continuously chalate rhenge. fir Kalakand side me rakh thanda hone denge . ❤️❤️❤️❤️ Kalakand A shahi Gajer 🥕 Halwa banane ke liye 😀🥕🥕🍶🍶☺️😎 ...✍🏻✍🏻✍🏻👌🏻👌🏻 kalakand ke mixture ko chote chote balls bana lenge . fir in balls me tutti frutti fill karenge . Last me Gajer ke halwe ko hatheliyo pe fala ke kalakand ke balls ko fill ker cover ker lenge . Fir Tulsi leaves aur cloves se garnish ker denge . Lo banke Ready ho gyi kalakand A shahi Gajar🥕🥕 halwa ❤️

Notes/Tips

fresh Gajer aur kalakand ka use kare jisse iske taste fresh aur yummmy delicious lagega