Gobhi ke kofte bahut hi testy hote hai agar gobhi ke sabji kha kar bor ho gye ho to ek bar yese kofte bna kar dekhe bar bar bnane ko man karega .besan ke sath milakar pakode tal kar fir greavy me dalte hai.

Gobhi ke kofte

#myrecipe #ValentineMe
By Neha Seth

Feb, 25th

610

Servings
4 persons
Cook Time
45 minutes
Ingredients
2 - 4

Ingredients

  • 1bade saize ke gobhi ,2bade chammach besan
  • Namak,haldi,jira powder,Kali mirch powder
  • Kasuri methi,adrakh lahsun pest,dahi,garm masala,
  • Hing,tejpatta 1,piyaj 2 kte huye,2 tmatar tel

Instructions

  • Sabse pahale gobhi ko achhe se saf kar ke barik great kar le. Ab is great Kiya huwa gobhi me besan 1tea spoon jira powder,Kali mirch powder 1tea spoon ,haldi powder 1tea spoon,namak test anusar,1chmmch kasuri methi,sbhi ko mila kar .garm tel me chhote chhote pkode tal le.ab ek kdahi garm kre usme tel Dale garm hone par 1pinch hing dale fir tejptta Dale fir piyaj Dale jab piyaj achhe se lal ho jay to tmatar kat kar Dale. tmatar thoda gal Jay to adrakh lahsun ka pest Dale jira powder Kali mirch powder,namak haldi lal mirch powder dale.tel chhodne tak masala ko achhe se bhune.jab masala achhe se bhun jay to 1cup pani dale .fir gobhi ke bne huye pakode Dale 5 mint pakane ke bad garm masala dale.2-3 mintue ke bad dahi ko achhe se get kar dal de.gas band kar de.uper se kasturi methi ko krush kar ke dal de.gobhi ke kofte taiyar hai serv ke liye.

Notes/Tips

Koi bhi kofte me dahi ekdum last me dale.isse test bhi aayega or colour bhi achhe aayege .