It's a home made jeera syrap.

Jeera soda

#myrecipe #sweets #FoodismSummerBonanza
By Sapna Thakkar

Mar, 28th

519

Servings
8 persons
Cook Time
30 minutes
Ingredients
5 - 7

Ingredients

  • 1 cup jeera
  • 10 to 15 kali mirch
  • Pinch nibu ke full
  • 1 cup sugar
  • 1 cup water
  • Nimbu juice 4 chamch
  • 1 bottel soda

Instructions

  • Sabse pahele ek baran kijye or usme jeera or kali mirch kijye or isko dhimi aach par bhune . Fir thoda lal ho jaye tab tak ya to isme se smell na aye tab tak isko bhune . Fir isko thanda hone ke liye side par rakhe.
  • Jab thanda ho jaye tab isko mixar jar me le kar iska crush karke iska powder bana lijiye . Ab dusri side ek dusra bartan le or usme sugar or pani milaye . Or isko melt hone ke liye rakhe. Jab sugar melt ho jaye tab isme jerra vala misran add kare. Or fir se misran ko ubalne de. Jab ek tar ki chasni ho jaye tab tak isko pakana he
  • Fir last me nimbu ke full add kare or mix karke isko ek glass bottle me bhare.
  • Ab ek glass me baraf dale or upar se ye jeera vala sharabat add kare. Or sath me nibu juice bhi add kare or upar se soda mix kare or sab misran ko mix karke turant hi serv kare to taiyar he jeera soda.

Notes/Tips

Agar ap isme or chatpata bana na he to chat masala bhi add kar sakte he .