Rasmalai ek sweet dish hai.jo ki dudh se Banta hai.

Rasmalai

#myrecipe #sweets #ValentineMe
By Neha Seth

Feb, 27th

606

Servings
4 persons
Cook Time
45 minutes
Ingredients
0 - 3

Ingredients

  • 2litter dudh,1nimbu ka ras,400gram chini
  • 10 dhage kesar,ilaychi powder 1tea spoon
  • Kuch dry fruits

Instructions

  • Ek bartan me ek litter dudh ko ubale fir thoda thanda kre.ab is dudh me nimbu ka ras dhire dhire kar ke dale or chlaye.dudh fat jayega.ise chhlni me chhan kar pani se dho le.ab ek suti kpde me chhena ko band kar uper se kuchh bhari bartan se dba de taki chhene se sara pani nikal jaye.ab chhene ko ek bartan me nikal kar hathon se male.itna achhe se male taki puri soft ho jaye.ab is chhene se chhoti chhoti loyi bna le.ab ek bartan me ek cup Pani or dedh cup chini mila kar gas par rakhe.chlate huye pkaye.jab chasni puri ublne lge to chhene ki tikki ko chasni me dal kar km aanch pr 5_7mintue pkaye.ab gas band kar de.or chasni ko dhak de.ab dusre bartan me bache huye 1litter dudh ko ubale.bich bich me chlate rahe.tab tak pkaye jab tak ki dudh Puri gadhi n ho jaye.ab kesar ke dhage or 1cup chini bhi mila de.5mintue or dudh ko pkaye.ab chasni se rasgulle ko nikal kar dba kar ras ko nikal de.or is rasgulle ko kesar wale dudh me dubate Jaye. Dry fruits dal de.thodi thandi hone par fridge me rakh de.jab puri thandi ho jaye to serv kare.

Notes/Tips

Chhene ko achhe se male ekdum soft tabhi rasgulle soft banege or tatege nahi.